Lovely life


Chaliye aaj hum baat karte hai ek bahut  hi gambhir topic par baat karne jaa rahe hai .
Jo bahut hi jaruri hai ,jiske liye  mai bahut dino se baat karena chah rha tha.



                   Wo topic hai " Asafalta se dar,safal hone  ka  risk na lena"
 Jo ek bahut hi gambhir topic hai.
             
                    Aaj hamare bhich ya chaaro  bus ek hi baat chal rahi hai ki yadi hum asafal ho gaye to humari life ka the end ho jaayega,isliye koi risk lena uchit nai . Isliye wo kahte hai ki apna jo aukat hai utana hi tak apna kaam karna chahiye.




          Isliye   log sochte rah jaate hai ki yadi mai ise kar su shayad ye kaam fail ho jaaye jiske baad mera koi astitwa nahi rahega jiske liye log ghbarate rahte hai .

 Lekin isme sabse badi baat ye hai ki kaam karne se pahle hi hum soch hi bahut  lete hai . Jo hamare raaste ka rukawat ban jaata hai jiske wajah se hum aage nahi badh paate hai . Maan lijiye yadi koi aage  badh jate hai leki success ki namo nishan nahi mil paata hai kyonki humne shruaat hi bahut dar se ki hai to uska aant bhi to dar se hi hoga .


            isliye kaha jaata hai ki jo humein lagta hai risk uthaakar ye kaam karna chahiye to humein jyada deri nahi karna chahiye taki humein dicision lene mein kahi der naa ho jaaye aur wo chij aage na nikal jaaye . Aur baad mein kahi  hum pachhtate na rah jaaye. 
         "Agar maan lijiye yaadi aap life mein  asafal ho bhi jaate hai to aap ek baat humein hamesha yahi sochna chahiye ki jyada se jyada kaya hoga asfal hi na ho gaye hain to life ka to ending to nahi na hua hain,
    Kyonki asagfalta hi safal jiwan ki ek nai shidi hai jo humein hamare life mein aage badhne mein madad karti hai ."

         Isliye life mein aage badhiye aur khub safalta ko paaye.
Aage hum aagle post mein milte hai tab tak ke liye aaplog apna khayal rakhe.