Lovely life
Khud ki khoj mein nikal duniya karegi salam tujhe.
Pagal ho jayegi ye duniya karke intkam tujhe....

Doston aaj ki jo hamari itni busy life ho gai hai jaha koi kisi ke pass thora sa time bhi nahi hai hai ki aap usse baatein kar sake.intna time bhi nahi hai ki koi aapka baat sun sake .To agar aap sochte ho ki mai is duniya ki har  ek buniyad par khara utar sakun to ye aapki galatphehmi hai.
Aap is duniya ke har kisi ko aap khush nahi kar sakte . koi na koi aapse khapha rahega hi.
Kyon aap sare logon ko khush karne ke chakkar mein rahte ho?
Aap kyon is duniya ke baaren mein sochte ho ?
Ye duniya kal bhi badal rahi thi aur aaj bhi badal rahi hai aur kal bhi badalti rahegi to kyon aap itna sochte ho?.
Agar aap har kisi ki khwahishon ko pura karne ke chakkar mein rah gae to apni khwahishon ko kab pura karenge aap .
To sabse pahle aap khud ko badalna shuru kijiye.
Jis din se aap apne aap ko badalna shuru kar diye usi din se aapki zindagi mein ek kayamat aa jayegi.
Kayamat lane ki koi jarurat nahi hai khud kayamat aa jayegi .
Wo kahte hai na ki har  manzil ki imarat ki niv  chhoti si ek eet se hi hoti hai. To aaj  apne aap ko badlna start kijiye  to dikhiyega ki har chijen apne aap hi sahi hona start ho jayegi..

1.To aap ye mat sochiye ki har koi aapke jaisa hi ban jayega.

2.har ek rista kharab hona tab start hota hai jab aap har kisi ko chahne lagte ho ki wo hamarey jaisa hi soche ,kaam karen aur sabke saath aapke hi jaisa behave karna start karen.
To yahan ye hota hai ki aap apne samne wale se bahut hi jyada  aasha karna start kar dete hai .aur wo saamnewala aapke jaisa ya aapke soch par khara nahi utar pata tab aapko bahut hi jyada dukh jhelna padta hai.tab aapko wahan se aapko tension hona start ho jata hai. To yahan behtar ye hota hai ki aapko ye karna hoga ki aap kisi ko bhi apne under rakhne ki koshish mat kijiye .

3.aapko har jagah par  jaagruk rehna padega tab hi aap apne relationship ko bacha sakte hai .

4.hamara jo life hai har taraf se problem  se ghira  hua hai . To is problem ko aap problem mata samjhe kyonki aap yadi problem ko problem  samjhenge to problem chhota nahi aur bada ho jayega.
5. Aaj ke samay mein aapko problem ko nahi balki solution  ko dekhna padega . Tabhi aap us problem ka sahi samadhan kar sakenge.

6.Har ek relationship ek sahi vishwas par bani hoti hai . To aap us vishwas ko kayam rakhna aapki hi jimmedari hai. Aisa aap koi bhi kaam mata karen jisse aapka wo relationship kharab ho jaye ya har ek chhota problem aur bada ho jaye.
To waha par aapka wo relationship ,relationship nahi rahega balki wo aur kharab ho jaayega.

7.Aapko har jagah ye dekhna padega ki aap kisi ke dwara to kahi aap use to nahi ho rahen hai. Kyonki us samay ke baad aapko jabtak pta chalega tab tak aapka relationship aur kharab ho chuka hoga.

8. Logon ko kabhi bhi ek situation ke baaren mein nahi balki situation ke anusar apne relationship par kaam karna chahiye.

9.pyaar ki wo jajbaat par aap itna jajbaati mat ban jaaiye ki aap kisi ko kuchh bhi mat samajhne lage to aise mein relationship kharab hona lazmi hai.

10.Na jaane log kab badal jaate hai aapko pta hi nahi chalega to aise mein aapko apne har ek chijon ko pahle parakh len .Taki saamne wale ko badal jaane se bhi aapko koi pharak nahi padega.